EXPERIMENTING WITH HINDI!!....

Main nahi jaanta!!

Chup chap kamre ke ek kone mein,
Baitha rehta hoon main,
Sham savere.
Kuch nahi soochta hain mujhe,
Unn saekdon palon mein,
Par man mein ummeed ki kiran,
Jagroot hamesha rehti hain.
Kash koi mujhe iss halat mein dekhe,
Mere bhaavnaon ko samjhe,
Aur pyaar se do lafz kahe.
Meethe se aur sneh bhare,
Jo bhula de meri saari pareshaniya,
Aise shabd jo mita de sabhi duriya,
Par ab tak na aisa hua,
Kya aage aise hoga,
Main nahi jaanta…..

Mujhe kyon nahi dikh raha hain mera bhavishya,
Kyon iss chote se kamre mein hi,
Simta hain mera aaj,
Meri phooti kismet ka kya hain raaz,
Main nahi jaanta.
Kaha kho gaya jeevan ka saara ras,
Kab nikhregi chaaro ore phir se khushiyali,
Main nahi jaanta.
Har pal aasu kyon tapakte hain aakhon se,
Main nahi jaanta…..

Aye zindagi, kis suran mein dhakela hain tune mujhe,
Jaha se bahar nikalne ka marg,
Main nahi jaanta.
Aye zindagi, beech raaste mein,
Kyon chod diya tune mera saath,
Iss kuwe se ubharne ka khwaab liye,
Jeeta ja raha hoon main.
Aye zindagi, iss sadme se Ubhar paoonga ki nahi,
Main nahi jaanta…..

Suna tha bhagwan sabko chappar fadke deta hain,
Toh kyon nahi di usne mujhe do waqt ki roti,
Kyon nahi diya usne mujhe hausla,
Sab thik ho jaayega,
Yeh kyon nahi diya dilasa,
Kyon ek bhakt ko yu tadapne ke liye chod diya,
Main nahi jaanta….

Chup chap kamre k eek kone mein,
Baitha rehta hoon main,
Sham- savere.
Kab tak yu hi kat ta rahega mera jeevan,
Main nahi jaanta.
Jeetegi mrut hoon main,
Par mukti kab prapt hogi,
Main nahi jaanta.
Main nahi jaanta………




Ummeed!!

This is a very common scenario, probably hackneyed too.. A guy loves a girl, but doesn’t have the courage to tell her.. then one day, she leaves the town suddenly… He starts missing her a lot, and wants to meet her one last time, so that he can confess his love………
Kehna tha bahot kuch,
Par keh na saka,
Pyaar karta tha main usse,
Sach much,
Par keh na saka,

Phir achanak ek din,
Who chali gayi,
Mujhe chhodkar,
Aur phir na aayi,
Who lautkar,

Uska naam main,
Har pal jap raha hoon,
Usse milne ki chahat mein,
Main  tadap raha hoon,
Har din, har raat,

Uski hi yaadon mein,
Jeete ja raha hoon,
Usse milne ki khwaish,
Boonta ja raha hoon,
Har din, har raat,

Neeras lag raha hain,
Ab mera jeevan,
Kho chuka hoon main,
Mera tan,
Aur mera man,

Har lamha, har pal,
Uski yaad sataaye,
Ye dil samaj na paaye,
Kash koi chamatkar ho,
Kash mujhe kahi dikh jaaye wo,

Bhagwaan, ab sun,
Meri dil ki dhun,
Dooriyan tu mita de,
Mila de ab hume,
Iske pehle ki meri saanse thame,

Ek raaste ki taalash mein,
Jeeta ja raha hoon,
Usse milne ki khwaish,
Boonta ja raha hoon,
Har din, har raat,

Bhagwaan, ab sun,
Meri dil ki dhun,
Yeh dooriyan tu mita de,
Mila de ab hume,
Iske pehle ki meri saanse thame…

Comments

Popular posts from this blog

TO YOU, MY MOTHER!!

YOU HAVE ENRICHED MY LIFE!!

LOVE:: A JOURNEY!!